Came across a mushaira in which Hafiz Hafizabadi recited his poem- Bani Munafiq. The thoughts are so well articulated that I had to save it with me. Here it goes:
Bani Munafiq
kbhi jo dil in kay bhar gaye tou
Bani Munafiq
Main janta hon
kay asteenon main jo chupaye hoay hain tum nay wo hath paras
wo hath paras hain aur jin ko ya cho lain un ko ya sunehra kar dain\
ya manta hon
ya manta hon tumharay ausaf be-yaqeen ho gaye hain zahir
Falak say tera khameer utra ka jaisay koi munafiqat kay zamana-eindiwal main chahaton ki lay kar naveed utra
kalam kar kay giray murday say jaan balab jo parind uraye
bani munafiq kay ae pyambar
magar zara sun
main basti-e-beyaqeen adna say ___ khabardar kar raha hon
hawas kay maray zameen zaday
tmharay paon ki khak surma bana kar ankhon main bhi lagayen yaqeen na karna
tum in ki palkon main bethnay say guraiz karna
baray ajeeb-eghareeb hain ya
ajeeb in ki aqeedatain hain
ajeeb in ki muhabatain hain
kbhi jo dil in kay bhar gaye tou
lamhay say beshtar
phair lain gay ankhain
mjhay khabar hai
teray hawari
teri maseehai
teray qad say
darain gay to
kia karain gay
teri maseehai
teray qad say
darain gay to
kia karain gay
teray hawari teray nahin hain
ya dast-e-paras kay hain pujari
ya rasm-e-pur ____ kay waris hain
pata nahin kis tarah ka tum say salook ho ga
agar tu manay teray liya chand mashwaray hain
bani munafiq say shab ko hijart
ya dast bardar hona apni pyambari say
ya aisa karna
jo asteenon main hain chupaye
wo hath paras chupaye rahna
wo hath paras chupaye rakhna